pyari thi magar
bahut sehmi thi,woh aankhen
jubaan seeli thi magar
bahut kuch bolti th woh aankhen
saaf jahalak perta tha
dard seene ka un aankhon mein
bebasi to jaise
taher gaithi us chere per
aur aasha ki ek halki se kiren
ki taalaash mein
pathra chuki thi woh aankhen
afsos
door talak do haath bhi na thay
jo sahara detey usey
aakhir wahi huaa
jo hona tha
cheen chuka tha usse
bachpaan uska
kuch aur nahi ab
weh nanha maasoom
duniya ke haathoon ka kheloona tha...
Monday, February 26, 2007
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment